kash hum ko usi chahat se bulaya hota

kash hum ko usi chahat se bulaya hota
apne us ahd-e-wafa ko hi nibhaya hota

samne aa ke wo karte wahi shikwe hum se
itni si baat ko itna na badhaya hota

tark-e-ulfat ka sabab ghairon ko batlate hain
yun na nazron mein hamein sab ki giraya hota

yun na karte hamein badnam zamane bhar mein
kuchh to apna bhi sitam sab ko bataya hota

mere afkar zamane se chhupate hi rahe
rasm-e-duniya ke liye kuchh to jataya hota

kaise samjhegi ye duniya ye taghaful ye tazad
apna ahwal bhi kuchh sab ko sunaya hota

baat karte rahe hans hans ke meri ghairon se
sar-e-mahfil to mera dil na jalaya hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close