taKHrib mein tamir ke pahlu hain nihan aur

takhrib mein tamir ke pahlu hain nihan aur
mitta hai jahan ek to banta hai jahan aur

thak jaenge ek roz to khud zulf ke bazu
jitne bhi sitam hote hain kahte hain ki han aur

dekhenge ki likhta hai gulistan ka muharrik
gulchin ka bayan aur hai bulbul ka bayan aur

himmat ke mutabiq hai manazil ka tayyun
dipak ka jahan aur patange ka jahan aur

ai mahr mere dil ki lagi ro ke bujhi hai
chhinte jo diye jate hain uthta hai dhuan aur


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close