kashakash-e-gham-e-hasti mein koi kya sunta hamin tak aa na saki dil ke tutne ki sada har ek phul ke chehre pe gard jamne lagi kahin se aaj ai abr-e-bahaar jhum ke aa chale the jis ke bharose pe rah-rawan-e-bahaar wo mahtab sar-e-dasht pichhli shab nikla kahin sada-e-jaras hai na gard-e-rah-e-safar thahar gaya hai kahan qafila tamanna ka hujum-e-lala-o-gul raste se hat jae talash-e-khar mein nikla hai koi aabla-pa guzar ke aaya hun un sakht manzilon se jahan tumhaari yaad ka saya bhi aas-pas na tha kahin se koi pukare ki aaj phir 'shahin' dilon ko dasne laga hai dilon ka sannata