kashmakash wo hai ki mar jaane ko ji chahta hai hai jidhar maut udhar jaane ko ji chahta hai umr to had se guzarne mein guzari main ne aur ab khud se guzar jaane ko ji chahta hai log ghawwas bane phirte hain dariya dariya mera qatre mein utar jaane ko ji chahta hai mujh ko madhosh hi rahne do khuda ki khatir hosh mein mera biphar jaane ko ji chahta hai koi manzar na talluq hai mohabbat wala dosto ab mera ghar jaane ko ji chahta hai