kashti chala raha hai magar kis ada ke sath hum bhi na dub jaen kahin na-khuda ke sath dil ki talab padi hai to aaya hai yaad ab wo to chala gaya tha kisi dilruba ke sath jab se chali hai aadam o yazdan ki dastan har ba-wafa ka rabt hai ek bewafa ke sath mehman mezban hi ko bahka ke le uda khushbu-e-gul bhi ghum rahi hai saba ke sath pir-e-mughan se hum ko koi bair to nahin thoda sa ikhtilaf hai mard-e-khuda ke sath shaikh aur bahisht kitne tajjub ki baat hai ya-rab ye zulm khuld ki aab-o-hawa ke sath padhta namaz main bhi hun par ittifaq se uthta hun nisf raat ko dil ki sada ke sath mahshar ka khair kuchh bhi natija ho ai 'adam' kuchh guftugu to khul ke karenge khuda ke sath