be-lag hain hum hum ko rukawat nahin aati kya baat banawen ki banawat nahin aati hai dhyan laga dar ki taraf par kai din se kanon mein tere panw ki aahat nahin aati dandan-e-hawas se use masla hai kisu ne bose se to lab par ye nilahat nahin aati kajal ne teri aankhon mein jo lutf diya hai har ek ke hisse ye ghulawat nahin aati kya jama-e-chaspan ka tere wasf karun main taqrir mein kuchh us ki sajawat nahin aati hai rang siyahi liye jun us ki hina ka hathon pe har ek ke ye udahat nahin aati ai 'mushafi' baithe hain hum us bazm mein khamosh kya baat banawen ki banawat nahin aati