kashti to bhanwar mein hai lekin sahil ki tamanna karte hain sahra mein bhatakte phirte hain manzil ki tamanna karte hain wo jin mein wafa ka nam nahin ikhlas se hain jo begana be-mehr wo kaise hum se bhala phir dil ki tamanna karte hain diwane chale jate hain tere apni dhun mein be-sudh ho kar jab hosh unhen aata hai kabhi manzil ki tamanna karte hain jo ishq-o-wafa mein duba ho dukh-dard jo auron ka samjhe hum tujh se khudawanda aise ek dil ki tamanna karte hain ai 'auj' hamare ishq mein to kuchh laus nahin khud-gharzi ka hain apni gharaz ke bande jo hasil ki tamanna karte hain