rah ke gulshan mein bhi tarse hain gul-e-tar ke liye ye muqaddar tha to kya roen muqaddar ke liye din-o-duniya ka bhala hosh rahega kis ko aap pahlu mein to aaen mere pal bhar ke liye sirf ek dard-e-mohabbat hi ka rona to nahin log phirte hain pareshan mere sar ke liye zat se un ki hai wabasta mera dil aise jaise diwar zaruri hai kisi dar ke liye dagh-e-dil aisa jala hijr ki raaton mein na puchh shama is taur na jal paegi dam bhar ke liye tu na aae tera paigham hi aae to sahi kuchh to saman-e-sukun ho dil-e-muztar ke liye husn zewar ka bhala 'auj' kahan hai muhtaj ghaza lazim to nahin hai rukh-e-anwar ke liye