kashtiyon ke khilkhilate baadbanon ki tarah raat bhar ugte hain chehre gum khazanon ki tarah ho na hir-phir sair-e-gul ko ja rahi hai fakhta phir hawa chalne lagi hai naujawanon ki tarah barha jo mujh se takraati hai meri gunj hai main bhi khush-abaad hun khali makanon ki tarah jama hai kuze sa mujh mein umr bhar ka shor-o-ghul lag rahe hain zehn-o-dil naqqar-khanon ki tarah mujh ko sipi sa dhake rahta hai mitti par falak hashr mein niklun kahin moti ke danon ki tarah zafran-e-fan banega wirsa-e-urdu mera main ne bhi alfaz boe hain kisanon ki tarah