raunaq jahan ki sach hai faqat aadmi se hai

raunaq jahan ki sach hai faqat aadmi se hai
lekin nizam-e-dahr bhi barham usi se hai

yaksan moamla kahan sab ka sabhi se hai
nafrat kisi se hai to mohabbat kisi se hai

mere har ek sher mein hai aap ki jhalak
wabasta meri shaeri bas aap hi se hai

marta hai koi bhuk se us ki kise khabar
sab ko gharaz bas apni shikam-parwari se hai

raunaq tumhaari bazm mein pahle kahan ye thi
sari chahal-pahal meri maujudgi se hai

us ko nasib chain-o-sukun kya ho ai khuda
bezar jis ka qalb teri bandagi se hai

dana ki dushmani se to khatra nahin koi
nadan doston ki magar dosti se hai

marna bhi chahta nahin 'tabish' koi yahan
shikwa bhi subh sham magar zindagi se hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close