kasni rang ke khwabon se nikal aai hun mithe pani ke sarabon se nikal aai hun tu ne jate hue ek bar bhi dekha na use wo jo kahti thi azabon se nikal aai hun barguzida thi tahajjud bhi na chhoda karti aur ab sare hisabon se nikal aai hun aas thi did ki jo kasa liye phirti thi main jawani ke azabon se nikal aai hun mere atraf mein sab log bahut achchhe hain dekh main sare kharabon se nikal aai hun shab-ba-shab jag ke padhti hun risale dil ke ab main bachpan ki kitabon se nikal aai hun hath mein chudi nahin paon mein pazeb nahin ishq-zadi thi gulabon se nikal aai hun