kitna roka magar ruka hi nahin aur mud kar to dekhta hi nahin teri chaukhat ka bhaari darwaza dastaken de ke bhi khula hi nahin mujh mein itna bikhar gaya hai wo lakh chahun simat raha hi nahin sahiba dost man rakkha tha aur tu dukh mein bolta hi nahin hijr ne khud bhi ye gawahi di wapsi ka to rasta hi nahin kunj-e-tanhai mein asir-e-ishq khud se bahar kabhi gaya hi nahin ek muddat se aashna hain magar aaine se mukalima hi nahin kis mohabbat ki baat karte ho jis mohabbat mein dil jala hi nahin kis ko itna maqam dete hum itna achchha koi laga hi nahin kuchh to hota ki zindagi karte is talluq ka kuchh sila hi nahin sari duniya shumar baithi hun yani ginti mein 'rabiya' hi nahin