kasrat-e-jalwa ko aaina-e-wahdat samjho jis ki surat nazar aae wahi surat samjho gham ko gham aur na musibat ko musibat samjho jo dar-e-dost se mil jae ghanimat samjho jhuk ke jo sainkadon fitnon ko jaga sakti hain wo nigahen agar utthen to qayamat samjho nahin hote hain riya-kari ke sajde mujh se main agar sar na jhukaun to ibaadat samjho rafta rafta meri khuddari se waqif hoge abhi kuchh din mere andaz-e-mohabbat samjho jalwa dekhoge kahan dil ke alawa apna mere tute hue aaine ki qismat samjho kam nahin dur asiri mein sahaara ye bhi qaid mein yaad-e-nasheman ko ghanimat samjho khub samjhaya hai ye katib-e-qismat ne hamein jo mayassar ho jahan mein use qismat samjho ham-jafaon ko bhi andaz-e-inayat samjhen aur tum shukr-e-sitam ko bhi shikayat samjho meri aankhon mein abhi ashk bahut baqi hain tum jo mahfil mein charaghon ki zarurat samjho ai 'saba' kyun ho dar-e-ghair pe tauhin-talab apne hi dar ko hamesha dar-e-daulat samjho