kat gai kohre ki chadar sard hawa ki tezi map ukdun baitha is wadi ki tanhai mein thar-thar kanp marmar ki unchai chadhte phisla hai to rona kya panw pasare kichad mein ukhdi sanson ki mala jap udte panchhi pyasi nazron ki pahchan se aari hain tez hui jati hain kirnen thap saheli gobar thap phuti chudi tuti dhanak rangon ka sehr bikharta sa sune ufuq par bahte baadal garm tawe se uthti bhap banson ke jangal ki chilman husn jhalakta manzil ka badhte hue qadmon ki tak mein sukhe hue patton par sanp garm-e-safar hai garm-e-safar rah mud mud kar mat pichhe dekh ek do manzil sath chalegi patke hue qadmon ki chap jhum rahi hai bhanwar mein kashti sahil-o-tufan raqs mein hain thaki hui aankhen so jaen aisa koi rag alap dekh phaphund lagi diwaren majlis bhi ban sakti hain tufani mausam hai 'shafiq' ab aur kahin ka rasta nap