kat gai umr yahi ek tamanna karte samne baith ke hum aap ko dekha karte ai junun dekh chale jate hain sahra ki taraf aql kahti to abhi baith ke socha karte yaad aa aa ke koi zakhm laga jata hai warna is kuche se hum roz hi guzra karte sar pe hai gham ki kadi dhup kahan hain ahbab kash do bol se hamdardi ke saya karte wajh-e-taskin-e-dil-o-rahat-e-jaan kuchh bhi nahin zindagi tere liye kis ka bahana karte waqt sae ki tarah bhag raha hai yaro umr guzri hai isi tarah se pichha karte 'barq'-sahab ne na dekha tujhe ai barq-jamal shahr mein ja ke tere husn ka charcha karte