kat gain jab josh-e-izhaar-e-hunar mein ungliyan tab kahin dubin mere khun-e-jigar mein ungliyan dekhiye anjam kya ho ab wafa ki rah par hum pe to utthi hain aaghaz-e-safar mein ungliyan aakhir-e-shab mein diya khud ko banaya tha kabhi aaj bhi jalti hain ummid-e-sahar mein ungliyan likh rahi hain reg-e-sahil par anokhi khwahishen aa gai hain teri baaton ke asar mein ungliyan raushni likkhi hai main ne go mujhe malum tha kat di jati hain is andhe nagar mein ungliyan lash ke hathon pe hain kaise nishan zanjir ke kis ki jaanib uth rahi hain is khabar mein ungliyan