jise kal raat bhar puja gaya tha wo but kyun subh ko tuta hua tha agar sach ki haqiqat ab khuli hai to jo ab tak nazar aaya tha kya tha agar ye talkhiyon ki ibtida hai to ab tak kaun sa amrit piya tha khula hai mujh pe ab duniya ka matlab magar ye raaz pahle bhi khula tha main jis mein hun ye duniya mukhtalif hai jahan main tha wo aalam dusra tha main khud ko mar kar pahuncha yahan tak to yaad aaya ki main to mar chuka tha meri main aur teri main donon haarin main banda hun magar tu to khuda tha main ab jo munh chhupae phir raha hun to kya main waqai chehra-numa tha