kat gaya rishtha-e-ulfat jo tera nam aaya dil wafadar tha lekin na mere kaam aaya ishq ke hathon charagh ek sar-e-sham aaya tira-bakhti mein mera dil hi mere kaam aaya talab-e-mulk-e-adam se na jahan dekh saka abhi manzil pe na utra tha ki paigham aaya nazish-e-dahr na tha main to pas-e-murdan kyun mahfil-e-ghair mein sau bar mera nam aaya shama roi to wo kuchh der sahi turbat par khair koi to zamane mein mere kaam aaya