katata hun raat-bhar apne lahu ki dhaar ko

katata hun raat-bhar apne lahu ki dhaar ko
khinchta hun is tarah inkar se iqrar ko

be-qarari kuchh to ho wajh-e-tasalli ke liye
bhinch kar rakhta hun sine se firaq-e-yar ko

apni gustakhi pe nadim hun magar kya khub hai
dhup ki diwar par likhna shabih-e-yar ko

aise katta hai jigar aise lahu hota hai dil
kaise kaise aazmata hun nafas ki dhaar ko

nachta hai mere nabzon mein kharosh-e-khun ke sath
dhadkanen ginti hain us ke panw ki raftar ko

reza reza chun raha hun jism-o-jaan ki saaten
dha raha hai koi meri umr ki diwar ko

ek saat ki judai bhi nahin mujh ko qubul
sath rakhta hun sada yaad-e-firaq-e-yar ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close