kuchh gunah nahin isMein etiraf hi kar lo

kuchh gunah nahin is mein e'tiraf hi kar lo
jo chhupae phirte ho sab ke ru-ba-ru kah do

bojh kyun rahe dil par apni kam-kalami ka
buzdili bhi achchhi hai chahe tum ye na mano

shab jo khwab dekha tha ek dasht-e-khwahish ka
apna ji kada kar ke aaj us se kah dalo

khub hai saza ye bhi kasb-e-kaamyabi ki
ek shab ki qimat mein ab to umr-bhar jago

ek bar chhu lena bas gul-e-badan us ka
ek mata-e-khushbu hai hath umr-bhar chumo

tha to wo bas ek lamha par ye us ka phailao
chahe ishraten us ki sari zindagi likkho

khwab le ke aaya hun main dukan-e-dushman par
is se besh-qimat ab aur chiz kya becho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close