kate hain din hayat ke lachaar ki tarah kahne ko zindagi hai ye gulzar ki tarah malum hi na thin unhen kuchh apni qimaten ahl-e-qalam bike yahan akhbar ki tarah taqrir us ne ki thi hamare khilaf jo har lafz chubh raha hai hamein khar ki tarah kya tum pe e'tibar karen tum hi kuchh kaho qaul-o-qarar karte ho sarkar ki tarah niklegi kaise koi mulaqat ki sabil duniya khadi hai rah mein diwar ki tarah diwar-o-dar pe 'kirishna' ki lila ke naqsh hai mandir hai ye to 'krishn' ke darbar ki tarah ghairat hamein aziz hai ghairat se hum jiye pahni hai hum ne sar pe ye dastar ki tarah ai 'shobha' dekh un ki zara khush-libasiyan nikle hain ban ke wo kisi gulzar ki tarah