nain to bar bar bhar jaen kaise naghme bahaar ke gaen tera ehsas kho gaya hum se ab tujhe dhundne kahan jaen hath apne lahuluhan hue ranjishen aur kitni sahlaen reshmi tar se bandhi thin magar tutti hi nahin hain aashaen aap ke khun ka rang dekh liya ab ada-kariyan na dikhlaen hum mohabbat ke ho liye sahab aap apni dukan par jaen