kathin hone ko hai jo shauq ka har marhala sahab zara sochen ki lahaq kya hai hum ko aariza sahab kisi bhi jhut par chup sadhna mera hua mushkil yahi mushkil hai meri aur mera masala sahab sunaun qissa kya main hazrat-e-insan ka pal mein bahut sadiyon ka hai aur hai qadimi waqia sahab mera matlab unhi se jo hawas ke bas pujari hain nahin un se hamara dur ka bhi wasta sahab kisi manzil kisi raste pe koi dosh hi kab hai hai luta rahbaron ne bas hamara qafila sahab