hua kitna mushkil wafadar hona ki padta hai us mein bhi bas khwar hona achambhe se khali nahin baat ye bhi diya jis ne gham us ka gham-khwar hona ajab daur mein sans hum le rahe hain ki taklif deta hai bedar hona qayamat se kam to nahin mere dil ka khuda ki qasam tujh se bezar hona nibhane ka yara nahin hai to sun lo kisi ka tum ab na ai yar hona tujhe us ki taqat ka andaza kab hai qalam ne bhi sikha hai talwar hona 'zohaib' is liye kaam karta hun har pal faraghat ka matlab hai be-kar hona