katra ke zindagi se guzar jaun kya karun ruswaiyon ke khauf se mar jaun kya karun main kya karun ki teri ana ko sukun mile gir jaun tut jaun bikhar jaun kya karun phir aa ke lag rahe hain paron par hawa ke tir parwaz apni rok lun dar jaun kya karun jangal mein be-aman si baithi hui hun main aawaz kis ko dun main kidhar jaun kya karun kya hukm aap ka hai mere waste huzur jari safar rakhun ki thahar jaun kya karun kab tak sunun bahaar mein khushbu ki dastaken kyon ai gham-e-hayat sanwar jaun kya karun