katta hai waqt kaise bata dun janab ka qissa sunaya karte hain ahd-e-shabab ka ai maula tu rahim hai ye jaanta hun main rakkha hai yun hi pech hisab-o-kitab ka tum aa gae khushi mili aansu thahar gae guzra kathin zamana mere iztirab ka taron ke darmiyan hai jo imtiyaz-e-chand darja hai gulsitan mein wahi to gulab ka malmal ka istimal baja hai magar ye kya charcha hai anjuman mein abhi tak naqab ka itni khata thi 'nazr' tumhin sar-nigun na the dola guzar raha tha jo izzat-maab ka