ye to gila nahin hai ki dil ko sukun nahin lekin sukun to chaara-e-dard-e-darun nahin aankhon mein be-qarar koi mauj-e-khun nahin shayad abhi bahaar pe zakhm-e-darun nahin har sans de raha tha ba-zahir payam-e-zist lekin mera guman yahi hai ki hun nahin milta hai dil ko teri gali mein sukun sa kya is zamin par falak-e-nilgun nahin ai aql sath rah ki padega tujhi se kaam rah-e-talab ki manzil-e-akhir junun nahin ab tak rafu gulon ke gareban na ho sake is gulsitan mein pursish-e-ahl-e-junun nahin mujh ko 'nisar' zoam-e-nazar ne kiya kharab jalwe to har qadam pe pukare ki yun nahin