katte hi sang-e-lafz girani nikal pade shisha utha ki ju-e-maani nikal pade pyaso raho na dasht mein barish ke muntazir maro zamin pe panw ki pani nikal pade mujh ko hai mauj mauj girah bandhne ka shauq phir shahr ki taraf na rawani nikal pade hote hi sham jalne laga yaad ka alao aansu sunane dukh ki kahani nikal pade 'sajid' tu phir se khana-e-dil mein talash kar mumkin hai koi yaad purani nikal pade