kisi ke dast-e-talab ko pukarta hun main uthao hath mujhe mang lo dua hun main mere azal aur abad mein nahin hai fasl koi abhi shurua abhi khatm ho gaya hun main basi hai mujh mein yugon se ajib virani badan se ruh talak be-karan khala hun main na koi aag hai mujh mein na raushni na dhuan kisi ke khwab mein jalta hua diya hun main nazar ke waste apna nazara kafi hai khud apna aks hun khud apna aaina hun main bhatak raha hun main be-ant shah-rahon par tumhaare shahr mein bilkul naya naya hun main