kaun aa gaya ye hashr ka saman liye hue

kaun aa gaya ye hashr ka saman liye hue
daman mein apne mera gareban liye hue

har ek gham hai aish ka unwan liye hue
sham-e-khizan hai subh-e-bahaaran liye hue

sajda hai mera zauq-e-farawan liye hue
uthega ab to sar dar-e-jaanan liye hue

baad-e-rihai bhi na main zindan se jaunga
baitha rahunga izzat-e-zindan liye hue

ab bhi na khanda-lab hon mere zakhm-ha-e-dil
wo muskura rahe hain namak-dan liye hue

ai chaara-saz baith ye chaaragari bhi dekh
utthega mera dard hi darman liye hue

rangini-e-tabassum-e-paiham na puchhiye
jaise wo aa rahe hon gulistan liye hue

aisa bhi kash aae mohabbat mein inqalab
wo aaen meri did ka arman liye hue

kaisi bahaar aai hai ab ke ba-rang-e-nau
har ek gul hai khun-e-shahidan liye hue

imkan-e-sahw hum se bhi mumkin hai ai 'shifa'
insaniyat ka hum bhi hain imkan liye hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close