hum junun ko zindagi ka mustaqar samjha kiye

hum junun ko zindagi ka mustaqar samjha kiye
ai 'shifa' manzil kidhar thi aur kidhar samjha kiye

wae ye kotahi-e-ehsas-o-tangi-e-nazar
zindagi ko zindagi bhar mukhtasar samjha kiye

karwan pahunche qarib-e-sai-e-anjam-e-safar
aur hum mafhum-e-aghaz-e-safar samjha kiye

be-khudi ne kis qadar gumrah rakkha ishq ko
hum tasawwur hi ko husn-e-mo'atabar samjha kiye

dekh kar bhi un ko hum mayus-e-nazzara rahe
har nazar ko laghzish-e-zauq-e-nazar samjha kiye

husn ke rangin muamme ishq ke ghamgin raaz
kuchh samajh mein to na aate the magar samjha kiye

zarre zarre ka shuur o zehn ko irfan tha
be-khabar the khud jo hum ko be-khabar samjha kiye

aaj tak hum ne farogh-e-dil pe nazren hi na kin
mehr-o-mah par munhasir apni sahar samjha kiye

dar-haqiqat wo halakat-afrin nikli 'shifa'
hum jise ab tak mohabbat ki nazar samjha kiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close