kaun 'ajiz' sila-e-tishna-e-dahani mange ye jahan aag use deta hai jo pani mange dil bhi gardan bhi hatheli pe liye phirta hun jaane kab kis ka lahu teri jawani mange todiye maslahat-e-waqt ki diwaron ko rah jis waqt tabiat ki rawani mange mangna jurm hai fankar se tartib-e-khayal gesu-e-waqt jab aashufta-bayani mange saqi tu chahe to wo daur bhi aa sakta hai ki mile jam-e-sharab us ko jo pani mange kis ka sina hai jo zakhmon se nahin hai mamur kya koi tujh se mohabbat ki nishani mange dil to de hi chuka ab hai ye irada apna jaan bhi de dun jo wo dushman-e-jaani mange hain mere shisha-e-sahba-e-sukhan mein donon nai mange koi mujh se ki purani mange