kya ye dekhen ki koi aur tamasha kya hai hum ko khud apne alawa nazar aata kya hai baz dariyaon ke manzar bhi ajab hote hain aadmi sochta rah jae ki sahra kya hai wo to achchha hai ki hum hi khas-o-khashak nahin warna in tez hawaon ka bharosa kya hai bujh gae hain jo diye phir se jalaen ki nahin koi batlao hamein rang hawa ka kya hai ho mulaqat aur ehsas-e-mulaqat na ho tera milna jo yahi hai to bichhadna kya hai dasht ke dhup ne hum ko ye bataya 'khawar' apne ghar ke dar-o-diwar ka saya kya hai