kaun aaya gesuon ko pareshan kiye hue bardadi-e-nigah ka saman kiye hue phir chahta hun khanjar-e-qatil se irtibaat dushwari-e-hayat ko aasan kiye hue phir sahil-e-murad ki hai dil ko aarzu kashti ko nazr-e-shorish-e-tufan kiye hue phir hun tere taghaful-e-zahir ka shikwa-sanj jaan ko fida-e-pursish-e-pinhan kiye hue phir hain harim-e-naz se jalwon ki barishen hairani-e-nigah ka saman kiye hue 'maikash' nahin mujhe mai-o-mai-khana ki talash baitha hun chashm-e-yar se paiman kiye hue