meri har khushi khushi thi teri har khushi se pahle mujhe koi gham nahin tha gham-e-ashiqi se pahle koi kashmakash nahin thi gham-e-dushmani se pahle mujhe khauf hi kahan tha teri dosti se pahle na bahaar-e-mai-kada thi na surur-bakhsh naghme tere mai-kade mein kya tha meri mai-kashi se pahle main duaen chahta hun main dua ka mustahiq hun tumhein kaun jaanta tha meri dosti se pahle hui sham-e-husn raushan to main ban gaya patanga teri bandagi thi suni meri zindagi se pahle kahin tirgi thi 'maikash' kahin tirgi ke dere kahin raushni nahin thi meri raushni se pahle