kaun ab un ki anjuman mein nahin chup hain jaise zaban dahan mein nahin apne aaba mein thi rawadari ab wo mere tere chalan mein nahin mal-o-zar ko kahan chhupaoge jeb jab aap ke kafan mein nahin do ghadi ka sukun kharid sake aisi taqat tumhaare dhan mein nahin sabr ka phal kahan milega tujhe sabr ka ped hi chaman mein nahin baat jo haq ki barmala kah de wo zaban hi kisi dahan mein nahin jis ko bu-e-wafa bhi kahte the waisi khushbu to ab watan mein nahin hum hunar kah saken jise yaro hum mein hai wo hamare fan mein nahin ab to apne tain bhi ai 'rahat' koi ranjish hamare man mein nahin