kahin bhi aap ka 'rahat' koi maqam nahin gunahgaron ki fihrist mein bhi nam nahin kisi ki yaad hi aane se ab jhijakti hai hamare zehn mein pahli si dhum-dham nahin hamari ruh pighalti hai sher kahne mein ye kaam log samajhte hain koi kaam nahin kahan se raushni aaegi khana-e-dil mein ki sham dhalne lagi hai tulu-e-jam nahin ye kis ke sher nasim-e-sahar sunati hai mera kalam nahin aap ka kalam nahin hum us ke faiz se jannat-makin to hain lekin udhar kisi se hamari dua-salam nahin meri talash nai manzilen dikhati hai thahar gaya hun jahan wo mera maqam nahin kharab-haali-e-gulshan se kyon pareshan hun hamare hath mein gulshan ka intizam nahin ubhar bhi sakta hun 'rahat' main warta-e-gham se bashar ke bas ka na ho aisa koi kaam nahin