kaun atha mein utre meri kis pe khule hangam mera ashk se kaise bhanp sakoge khun mein hai kohram mera koi to saat guzre jis mein do tahziben wasl karen khinch lun main zunnar badan par bandh le tu ehram mera bach ke kahan jaoge aakhir tum itne chaalak nahin dasht ke chappe chappe par to bichha hua hai dam mera hare-bhare insan ko kaise hijr ki aag ne zard kiya ab bhi ishq karega pyare dekh to le anjam mera aaya hun bazar mein bikne main khud apni marzi se warna kis mein dam hai itna kaun lagae dam mera nind ki ye imdad hamesha ishq mein pahunchana mujh ko aankh na ho tujh husn se khali khwab na ho nakaam mera sab ne zaban pe wird ki surat mere sher sajae hain kan laga kar sun le har su gunj raha hai nam mera jaane kis ke khauf se ghar par wahshat tari rahti hai kanp rahi hai saqf musalsal laraz raha hai baam mera chhod guzishta ahd ki baaten kaun mara aur kaun jiya mujh se mil main ahd-e-rawan hun aurangzeb hai nam mera