kaun batae kya hai haqiqat aur bana afsana kya dil ki basti kya basti hai basna kya lut jaana kya barson ne jo rishte jode pal bhar ne wo tod diye pyare! ab tute tukdon se apna ji bahlana kya aaj to jun-tun kat jaega kal ki socho kya hoga jo guzri so guzar chuki itrana kya pachhtana kya kaisa tufan kaisi balaen yaro! ye bhi socho to sikha hai mar mar ke jina jite-ji mar jaana kya jaane kitne dubne wale sahil par bhi dub gae pyare! tufanon mein rah kar itna bhi ghabrana kya tanha tanha ji ke dekha sath bhi ji ke dekh liya hum ne kya samjha hai jina auron ko samjhana kya sud-o-ziyan ki baaten chhodo aur hi baaten chhedo bhi ishq ke hathon kya khoya hai kya paya dohrana kya apni ram-kahani mein bhi jag-biti ka jadu tha palken jhapki jati hain ab khatm hua afsana kya