milan ki saat ko is tarah se amar kiya hai tumhaari yaadon ke sath tanha safar kiya hai suna hai us rut ko dekh kar tum bhi ro pade the suna hai barish ne pattharon par asar kiya hai salib ka bar bhi uthao tamam jiwan ye lab-kushai ka jurm tum ne agar kiya hai tumhein khabar thi haqiqaten talkh hain jabhi to! tumhaari aankhon ne khwab ko mo'atabar kiya hai ghutan badhi hai to phir usi ko sadaen di hain ki jis hawa ne har ek shajar be-samar kiya hai hai tere andar basi hui ek aur duniya magar kabhi tu ne itna lamba safar kiya hai mere hi dam se to raunaqen tere shahr mein thin mere hi qadmon ne dasht ko rah-guzar kiya hai tujhe khabar kya mere labon ki khamoshiyon ne! tere fasane ko kis qadar mukhtasar kiya hai bahut si aankhon mein tirgi ghar bana chuki hai bahut si aankhon ne intizar-e-sahar kiya hai