kaun deta raha sahra mein sada meri tarah aaj tanha hun magar koi to tha meri tarah main teri rah mein pamal hua jata hun mit na jae tera naqsh-e-kaf-e-pa meri tarah main hi tanha hun faqat teri bhari duniya mein aur bhi log hain kya mere khuda meri tarah rang-e-arbab-e-raza-e-pesha mubarak ho tujhe koi hota hi nahin tujh se khafa meri tarah kis ko hasil ho teri chashm-e-siyah ke aage mansab-e-silsila-e-jurm-o-khata meri tarah aashna kaun hai naqsh-e-qadam-e-nikhat ka yaad kis ko hai tere ghar ka pata meri tarah 'shaz' tara nahin tuta koi dil tuta hai rah takta tha shab-e-gham koi kya meri tarah