rukh jo zer-e-sumbul-e-pur-pech-o-tab aa jaega phir ke burj-e-sumbule mein aaftab aa jaega tera ehsan hoga qasid gar shitab aa jaega sabr mujh ko dekh kar khat ka jawab aa jaega ho na betab itna gar us ka itab aa jaega tu ghazab mein ai dil-e-khana-kharab aa jaega is qadar rona nahin behtar bas ab ashkon ko rok warna tufan dekh ai chashm-e-pur-ab aa jaega pesh howega agar tere gunahon ka hisab tang zalim arsa-e-roz-e-hisab aa jaega dekh kar dast-e-sitam mein teri tegh-e-abdar mere har zakhm-e-jigar ke munh mein aab aa jaega apni chashm-e-mast ki gardish na ai saqi dikha dekh chakkar mein abhi jam-e-sharab aa jaega khub hoga han jo sine se nikal jaega tu chain mujh ko ai dil-e-pur-iztirab aa jaega ai 'zafar' uth jaega jab parda-e-sharm-o-hijab samne wo yar mere be-hijab aa jaega