kaun guman yaqin bana kaun sa ghaw bhar gaya jaise sabhi guzar gae 'jaun' bhi kal guzar gaya us ka charagh-e-wasl to hijr se rabte mein tha wo bhi na jal saka udhar ye bhi idhar bikhar gaya zist ki raunaqen tamam us ki talash mein rahin aur wo gham-nazhad 'jaun' kis ko khabar kidhar gaya gam-ba-gam ek bahisht aur wo us ki ek hasht rah mein bhi ruka nahin aur na apne ghar gaya rasm-e-supurdagi ko kab darkhur-e'tina kaha khud se jo tha gurez-pa sab se gurez kar gaya us ke sukhan ka moajiza us ki nahin mein dekhiye han bhi hai majra magar 'jaun' kahan udhar gaya us ko tha sakht ikhtilaf zist ke matn se so wo bar-sar-e-hashiya raha aur kamal kar gaya us ke khayal ki numud ahd-ba-ahd jawedan bas ye kaho ki 'jaun' hai ye na kaho ki mar gaya