khud mujh ko mere dast-e-kaman-gir se mila jo zakhm bhi mila hai usi tir se mila tujh ko khabar bhi hai mere inkar ka jawab tegh-o-sinan-o-khanjar-o-shamshir se mila gum ho gaya tha main usi dasht-e-wajud mein main apne ism-e-zat ki taskhir se mila ai ramz-e-agahi main tujhe khud pe wa karun wahshat ko mere paon ki zanjir se mila milne ki kuchh khushi na bichhadne ka khauf hai ai meri jaan tu badi takhir se mila dariya tamam tishna-labon ki hai milkiyyat is mumlikat ko pyas ki jagir se mila jo khwab meri chashm-e-zarurat ne kho diya wo khwab mere khwab ki tabir se mila 'shahid' mere mizaj ki aashuftagi na dekh meri udasiyon ka nasab 'mir' se mila