kaun hai duniya mein mera jaan-e-jaan tere baghair hun falak ke saeban mein be-aman tere baghair tu hi manzil-ashna tha ek tere jaane ke baad raston mein rah gaya har karwan tere baghair dastan ke darmiyan phir zikr tera aa gaya kis tarah hoti mukammal dastan tere baghair lab pe tale pad gae alfaz gunge ho gae harf har ek ho gaya hai be-zaban tere baghair ho gaya 'faruq' budha hijr ke sadmat se kis tarah rahta jawan wo naujawan tere baghair