sar-ba-kaf chalna pada hai qatilon ke shahr mein dil ki qimat kuchh na thi in be-hison ke shahr mein hosh-mandi ka labaada odh kar aaya tha main aur pagal ho gaya hun pagalon ke shahr mein sar chhupane ke liye ek saeban to chahiye bhigte kab tak rahoge barishon ke shahr mein sach ki qimat kuchh nahin hai jhut ke bazar mein aql ki waqat kahan hai sar-phiron ke shahr mein koi bhi dar wa nahin hota yahan mere liye mil na paengi panahen buz-dilon ke shahr mein mujh ko bhi mahngi badi hai in gali kuchon ki sair dil ganwa aaya hun main bhi gul-rukhon ke shahr mein baith mat jaana kabhi 'faruq' tum ji haar ke dhundhna hai hal koi is mushkilon ke shahr mein