kaun hai jis ka sara dukh hai dukh bhi jis ka chaara dukh hai mithi baaten karta hai wo aur aankhon mein khaara dukh hai main aurat hun mujh se maliye mera mitti gara dukh hai ishq mein dukh hi chaara samjha aur wajh bechaara dukh hai dekh khuda ab tere hote mera sirf sahaara dukh hai ek kinara tum ho yani mera ek kinara dukh hai hanste rahte hain hum donon main hun dukh ka mara dukh hai