reaya de rahi thi shauq se begar jismon ki

reaya de rahi thi shauq se begar jismon ki
yahi taqdir hai aaqa yahan nadar jismon ki

gira dalegi tujh pe aasman jo sarsarahat hai
tumhaare panw niche rengte bedar jismon ki

muarrikh goliyon ke khol ginte ja rahe the aur
hikayat likh rahe the hum yahan mismar jismon ki

mohabbat sirf kahne ko talluq tel pani sa
riyazat umr bhar karte rahe be-kar jismon ki

khuda tera nizam-e-adl rabb-ul-alamin tera
shariat tujh ko deti hai ijazat chaar jismon ki

use to fikr daman-gir thi shah ke qaside ki
kahani ek taraf rakkhi rahi bimar jismon ki

badan chhodo sabahat ho sake to ruh ko thamo
koi dam girne wali hai yahan diwar jismon ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close