kaun hai jo dard banTe raat ke is pahr mein

kaun hai jo dard bante raat ke is pahr mein
hai koi jo jagta ho is samay bhi shahr mein

bai'at-e-sani pe mail hai mera ranjur dil
gar mayassar dusra koi khuda ho dahr mein

shauq se pite hain aur rahte hain phir ehsanmand
dushmanon ne kya milaya hai hamare zahr mein

qatra qatra yun milaya us ko dariya kar diya
teri yaadon ne baras kar mere gham ki nahr mein

hijr mein roen bhala kahe jahan aabaad hai
teri apni mauj hai aur hum hain apni lahr mein

meri khamoshi faqat meri waza-dari nahin
sans aa pae to bolun jabr mein aur qahr mein

khun mere lafzon se tapka aur misra ban gaya
go hai mumkin masala ho wazn mein aur bahr mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close