kaun hun kyun zinda hun sochta rahta hun khwabon ki duniya mein jagta rahta hun rang aur khushbu se dhundlae raston mein hawa ki ungli tham ke chalta rahta hun aawazon ki gathri sar pe uthae hue khamoshi ke zine chadhta rahta hun jahan se mere jism ko ek din ugna hai main us banjh zamin ko dhundhta rahta hun aankhon ki uryani se chhupne ke liye nae nae malbus pahanta rahta hun subh-o-sham hawa ki andhi lahron mein zarra zarra ho ke bikharta rahta hun soi hui rahon mein tanha chand ke sath sari sari raat bhatakta rahta hun lauh-e-jahan par banti bigadti tahriren dekhta rahta hun aur sochta rahta hun jism-o-jaan ki dhup se jalte sahra mein apna saya odh ke chalta rahta hun